mujh qabr se yaar kyūñke jaave
hai sham-e-mazār kyūñke jaave
dil par jo zaḳhm haiñ vo dikhā.eñ kisī ko kyā
apnā sharīk-e-dard banā.eñ kisī ko kyā
jahāñ un ko un ke ishāroñ ko dekhā
vahīñ dil kī sāzish ke māroñ ko dekhā
zamāna hai ki guzrā jā rahā hai
ye dariyā hai ki bahtā jā rahā hai
ye jo ḳhvāboñ kā chaskā lag rahā hai
faqat nīñdoñ kā dhokā lag rahā hai
shohrateñ auroñ ne pā.īñ naam auroñ ko milā
kaam to ham ne kiyā in.aam auroñ ko milā
ḳhud se milne ke liye ḳhud se guzar kar aayā
kis qadar saḳht muhim thī ki jo sar kar aayā
kūcha-e-dilbar meñ maiñ bulbul chaman meñ mast hai
har koī yaañ apne apne pairahan meñ mast hai
tū mil us se ho jis se dil tirā ḳhush
balā se terī maiñ nā-ḳhush huuñ yā ḳhush
har ik lamhe kī rag meñ dard kā rishta dhaḌaktā hai
vahāñ taara laraztā hai jo yaañ patta khaḌaktā hai