saare manzar fusūñ tamāshā haiñ
kal ghaTā.eñ thiiñ aaj dariyā haiñ
har ghaḌī dard kī shiddat se bilaktī āñkheñ
ātish-e-hijr se har lamha pighaltī āñkheñ
kaun āshnā hai kis pe nazar jaa.e shahr meñ
āḳhir ġharīb-e-shahr kidhar jaa.e shahr meñ
kuchh shikve-gile hote kuchh taish sivā hotā
qismat meñ na milnā thā milte bhī to kyā hotā
mamtā bharī nigāh ne rokā to Dar lagā
jab bhī shikār ziin se bāñdhā to Dar lagā
niiñd merī hai ḳhvāb logoñ ke
haiñ mire sar azaab logoñ ke
dil-o-nigāh ko vīrān kar diyā maiñ ne
shikast-e-ḳhvāb kā elaan kar diyā maiñ ne
ye kaun chhoḌ gayā us pe ḳhāmiyāñ apnī
mujhe dikhātā hai ā.īna jhurriyāñ apnī
kyā hai ūñchā.ī mohabbat kī batāte jaao
panchhiyoñ uḌ ke yuuñ hī ḳhvāb dikhāte jaao
chain paḌtā nahīñ hai sone meñ
sūiyāñ to nahīñ bichhaune meñ