sab se behtar hai ki mujh par mehrbāñ koī na ho
ham-nashīñ koī na ho aur rāz-dāñ koī na ho
ham ko us shoḳh ne kal dar talak aane na diyā
dar-o-dīvār ko bhī haal sunāne na diyā
nā-tavānī meñ palak ko bhī hilāyā na gayā
dekh ke un ko ishāre se bulāyā na gayā
vahshat meñ yaad aa.e hai zanjīr dekh kar
ham bhāgte the zulf-e-girah-gīr dekh kar
har ghaḌī chaltī hai talvār tire kūche meñ
roz mar rahte haiñ do chaar tire kūche meñ
chehre jitne ruup badaltā rahtā hai
ā.īne meñ naqs nikaltā rahtā hai