jahāñ sāñseñ nahīñ chaltīñ vahāñ kyā chal rahā hai
bahisht-e-ḳhāk meñ ai raftagāñ kyā chal rahā hai
purāne dukh na.e kapḌe pahan kar aa ga.e haiñ
ye apne shahr meñ āzurdagāñ kyā chal rahā hai
ye jin ke ashk merī jaan ko aa.e hue haiñ
maiñ un se pūchh baiThā thā miyāñ kyā chal rahā hai
hamārā bhuuk ne muñh bhar diyā hai gāliyoñ se
tumhāre bad-nasīboñ ke yahāñ kyā chal rahā hai
haiñ ashkoñ ke nishāne par musalsal dukh hamāre
ye chāleñ ham se andoh-e-jahāñ kyā chal rahā hai
nadāmat se maiñ apnā muñh chhupātā phir rahā huuñ
ye mere dostoñ ke darmiyāñ kyā chal rahā hai
yahāñ har roz hoñToñ ke gine jaate haiñ Tāñke
tumhāre shahr meñ sho.ala-bayāñ kyā chal rahā hai
chalā kar goliyāñ mujh par parindoñ ko batāo
jahāñ pinjre nahīñ bante vahāñ kyā chal rahā hai
to phir qaabū kiyā hai hijr kis jaadū se tum ne
udāsī gar nahīñ afsurda-gāñ kyā chal rahā hai
hamāre rahbaroñ ko jaan ke laale paḌe haiñ
tumhāre rahbaroñ meñ gumrahāñ kyā chal rahā hai
jahan sansen nahin chaltin wahan kya chal raha hai
bahisht-e-KHak mein ai raftagan kya chal raha hai
purane dukh nae kapDe pahan kar aa gae hain
ye apne shahr mein aazurdagan kya chal raha hai
ye jin ke ashk meri jaan ko aae hue hain
main un se puchh baiTha tha miyan kya chal raha hai
hamara bhuk ne munh bhar diya hai galiyon se
tumhaare bad-nasibon ke yahan kya chal raha hai
hain ashkon ke nishane par musalsal dukh hamare
ye chaalen hum se andoh-e-jahan kya chal raha hai
nadamat se main apna munh chhupata phir raha hun
ye mere doston ke darmiyan kya chal raha hai
yahan har roz honTon ke gine jate hain Tanke
tumhaare shahr mein shoala-bayan kya chal raha hai
chala kar goliyan mujh par parindon ko batao
jahan pinjre nahin bante wahan kya chal raha hai
to phir qabu kiya hai hijr kis jadu se tum ne
udasi gar nahin afsurda-gan kya chal raha hai
hamare rahbaron ko jaan ke lale paDe hain
tumhaare rahbaron mein gumrahan kya chal raha hai
Leave a comment