Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


kar diya zulf-e-pareshan sa pareshan mujhko


kar diyā zulf-e-pareshāñ sā pareshāñ mujh ko
dasht meñ chhoḌ gayā hai dil-e-nādāñ mujh ko

dāġh-e-yārān-e-vatan thā jo dil-e-mahzūñ meñ
vo nazar aayā charāġh-e-tah-e-dāmāñ mujh ko

jāñ-kanī se kahīñ achchhā hai mirā mar jaanā
nīm-bismil na banā nāvak-e-mizhgāñ mujh ko

jalva-e-sub.h-e-qayāmat kā maza detā hai
chāk-e-dil chāk-e-jigar chāk-e-garebāñ mujh ko

murġh-e-dil daam meñ gesū ke ulajh kar na kahe
ho mubārak tumheñ gulshan to ye zindāñ mujh ko

jalva-e-husn-e-ḳhudā-dād dikhā kar dilbar
misl-e-ā.īna kiyā aap ne hairāñ mujh ko

apnā apnā ye muqaddar hai kahūñ kyā vaa.iz
mahfil-e-va.az tujhe mahfil-e-rindāñ mujh ko

apnī tanhā.ī pe rotā huuñ baḌī hasrat se
apnā pahlū jo nazar aatā hai vīrāñ mujh ko

ġhuncha-e-zaḳhm-e-jigar khil ke dikhā dete haiñ
chaman-e-ishq sanam kā gul-e-ḳhandāñ mujh ko

mehmāñ gosha-e-turbat kā mujhe honā hai
kyuuñ na marġhūb ho ye gor-e-ġharībāñ mujh ko

minnateñ maut kī kartā huuñ to vo kahtī hai
zindagī ne to kiyā terā nigahbāñ mujh ko

sher-goī nahīñ sīkhī hai 'jamīla' maiñ ne
merī fitrat ne kiyā sāhab-e-dīvāñ mujh ko

kar diya zulf-e-pareshan sa pareshan mujh ko
dasht mein chhoD gaya hai dil-e-nadan mujh ko

dagh-e-yaran-e-watan tha jo dil-e-mahzun mein
wo nazar aaya charagh-e-tah-e-daman mujh ko

jaan-kani se kahin achchha hai mera mar jaana
nim-bismil na bana nawak-e-mizhgan mujh ko

jalwa-e-subh-e-qayamat ka maza deta hai
chaak-e-dil chaak-e-jigar chaak-e-gareban mujh ko

murgh-e-dil dam mein gesu ke ulajh kar na kahe
ho mubarak tumhein gulshan to ye zindan mujh ko

jalwa-e-husn-e-KHuda-dad dikha kar dilbar
misl-e-aina kiya aap ne hairan mujh ko

apna apna ye muqaddar hai kahun kya waiz
mahfil-e-waz tujhe mahfil-e-rindan mujh ko

apni tanhai pe rota hun baDi hasrat se
apna pahlu jo nazar aata hai viran mujh ko

ghuncha-e-zaKHm-e-jigar khil ke dikha dete hain
chaman-e-ishq sanam ka gul-e-KHandan mujh ko

mehman gosha-e-turbat ka mujhe hona hai
kyun na marghub ho ye gor-e-ghariban mujh ko

minnaten maut ki karta hun to wo kahti hai
zindagi ne to kiya tera nigahban mujh ko

sher-goi nahin sikhi hai 'jamila' main ne
meri fitrat ne kiya sahab-e-diwan mujh ko


Leave a comment

+