Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


tegh-e-abru ka jo qatil hua


teġh-e-abrū kā jo qatīl huā
vo shahīdoñ meñ be-adīl huā

chashma-e-ashk chashm-e-pur-nam thā
ḳhuld meñ jo ki salsabīl huā

aabrū dī hai inkisārī ne
ḳhāksārī se maiñ jalīl huā

ḳhud-faristanda thā farastāda
vahī lā kar vo jibra.īl huā

huuñ vo aasī ki shola-e-dozaḳh
naar hī gulshan-e-ḳhalīl huā

juz ġham-e-yār dasht-e-ġhurbat meñ
kaun aisā thā jo kafīl huā

ab ḳhudā hī se lau lagā.ūñgā
de ke dil but ko maiñ zalīl huā

shab-e-furqat jo ḳhat likhā maiñ ne
zulf-e-jānāñ sā vo tavīl huā

ai 'jamīla' ye dil hai dushman-e-jāñ
marg-e-āshiq kā jo dalīl huā

tegh-e-abru ka jo qatil hua
wo shahidon mein be-adil hua

chashma-e-ashk chashm-e-pur-nam tha
KHuld mein jo ki salsabil hua

aabru di hai inkisari ne
KHaksari se main jalil hua

KHud-faristanda tha farastada
wahi la kar wo jibrail hua

hun wo aasi ki shola-e-dozaKH
nar hi gulshan-e-KHalil hua

juz gham-e-yar dasht-e-ghurbat mein
kaun aisa tha jo kafil hua

ab KHuda hi se lau lagaunga
de ke dil but ko main zalil hua

shab-e-furqat jo KHat likha main ne
zulf-e-jaanan sa wo tawil hua

ai 'jamila' ye dil hai dushman-e-jaan
marg-e-ashiq ka jo dalil hua


Leave a comment

+