kiyā jab sabr furqat meñ to phir zikr-e-butāñ kaisā
ba-āh-o-zāriyāñ kaisī haiñ ye shor-e-fuġhāñ kaisā
bagūle kī tarah se ḳhaak uḌānā hai muqaddar meñ
vatan kyā ḳhānamāñ-barbād kā tere makāñ kaisā
huā fikr-o-tasavvur se vo tasvīr-e-sanam jab to
bigaḌ jaanā hai ab mujh se dil-e-nā-mehrabāñ kaisā
qafas meñ band huuñ maiñ go qafas ho shāḳh-e-tauba par
ye mere vāste qaid-e-mihan hai bostāñ kaisā
ye sābit ho chukā tum par nahīñ Darte ye marne se
liyā karte ho jāñ-bāzoñ kā phir tum imtihāñ kaisā
lahad meñ chain miltā hai kahāñ zahmat-nasīboñ ko
jhapaktī hī nahīñ āñkheñ mirī ḳhvāb-e-girāñ kaisā
qadam rakhnā zamīñ par zo.af se mujh ko huā mushkil
kyā dard jigar ne aah mujh ko nā-tavāñ kaisā
añdhere ho ga.e haiñ donoñ aalam merī nazroñ meñ
zamīñ kaisī hai mere vāste aur āsmāñ kaisā
'jamīla' ālimoñ se saaf kah de tujh ko Dar kis kā
makān-e-dil maqām-e-kibriyā hai lā-makāñ kaisā
kiya jab sabr furqat mein to phir zikr-e-butan kaisa
ba-ah-o-zariyan kaisi hain ye shor-e-fughan kaisa
bagule ki tarah se KHak uDana hai muqaddar mein
watan kya KHanaman-barbaad ka tere makan kaisa
hua fikr-o-tasawwur se wo taswir-e-sanam jab to
bigaD jaana hai ab mujh se dil-e-na-mehraban kaisa
qafas mein band hun main go qafas ho shaKH-e-tauba par
ye mere waste qaid-e-mihan hai bostan kaisa
ye sabit ho chuka tum par nahin Darte ye marne se
liya karte ho jaan-bazon ka phir tum imtihan kaisa
lahad mein chain milta hai kahan zahmat-nasibon ko
jhapakti hi nahin aankhen meri KHwab-e-giran kaisa
qadam rakhna zamin par zoaf se mujh ko hua mushkil
kya dard jigar ne aah mujh ko na-tawan kaisa
andhere ho gae hain donon aalam meri nazron mein
zamin kaisi hai mere waste aur aasman kaisa
'jamila' aalimon se saf kah de tujh ko Dar kis ka
makan-e-dil maqam-e-kibriya hai la-makan kaisa
Leave a comment