sho.ala-e-āh ne sīkhā hai jalānā dil kā
nahīñ miltā hai jo pahlū meñ Thikānā dil kā
shoḳhiyāñ ā.eñgī baḌhne do abhī sin un kā
zulf-e-pur-pech sikhā degī phañsānā dil kā
na.e andāz se lete haiñ vo dil āshiq kā
ravish-e-nāz se sīkhā hai churānā dil kā
sūrat-e-barg-e-hinā kis ne banāyā tum ko
pesh kar paa.e nigārīñ meñ lagānā dil kā
kyā mujhe dasht-navardī kā mazā detā hai
justujū meñ tirī yuuñ ḳhaak uḌānā dil kā
kyā ḳhabar thī vo pa.e sair idhar aa.egā
sīkhtā parda-e-pahlū meñ chhupānā dil kā
un ke kūche meñ bapā fitna-e-mahshar na kare
shab-e-tārīk meñ kyā shor machānā dil kā
tūr-e-ulfat pe chalo tā maiñ dikhā.ūñ tum ko
ho ke behosh kabhī hosh meñ aanā dil kā
shukr kar shukr 'jamīla' ki zahe terā nasīb
ho gayā kūcha-e-jīlāñ meñ Thikānā dil kā
shoala-e-ah ne sikha hai jalana dil ka
nahin milta hai jo pahlu mein Thikana dil ka
shoKHiyan aaengi baDhne do abhi sin un ka
zulf-e-pur-pech sikha degi phansana dil ka
nae andaz se lete hain wo dil aashiq ka
rawish-e-naz se sikha hai churana dil ka
surat-e-barg-e-hina kis ne banaya tum ko
pesh kar pae nigarin mein lagana dil ka
kya mujhe dasht-nawardi ka maza deta hai
justuju mein teri yun KHak uDana dil ka
kya KHabar thi wo pae sair idhar aaega
sikhta parda-e-pahlu mein chhupana dil ka
un ke kuche mein bapa fitna-e-mahshar na kare
shab-e-tarik mein kya shor machana dil ka
tur-e-ulfat pe chalo ta main dikhaun tum ko
ho ke behosh kabhi hosh mein aana dil ka
shukr kar shukr 'jamila' ki zahe tera nasib
ho gaya kucha-e-jilan mein Thikana dil ka
Leave a comment