Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


dil jo aaina sa nahin hota


dil jo ā.īna sā nahīñ hotā
yaar jalva-numā nahīñ hotā

sabr kar sabr ai dil-e-mahzūñ
is mohabbat meñ kyā nahīñ hotā

go nasīm-e-sahar hai aah mirī
ġhuncha-e-dil to vā nahīñ hotā

murġh-e-bismil sā kyuuñ na maiñ taḌpūñ
dard rāhat-fazā nahīñ hotā

kyuuñ karūñ jā ke maiñ use sajda
but-e-kāfir ḳhudā nahīñ hotā

hotā nām-o-nishāñ kā gar tālib
maiñ tirā naqsh-e-pā nahīñ hotā

kyuuñ dil aatā tumhāre dar pe sanam
garche shauq-e-liqā nahīñ hotā

ishq hotā nahīñ to pesh-e-nazar
jalva-e-haq-numā nahīñ hotā

sar kaTāne se ho ga.ī rāhat
ishq kā ye mazā nahīñ hotā

mujh se dar-parda hai tujhe ulfat
mujh ko ye hauslā nahīñ hotā

dil ko kyuuñ kar 'jamīla' maiñ pheñkūñ
kisī sūrat judā nahīñ hotā

dil jo aaina sa nahin hota
yar jalwa-numa nahin hota

sabr kar sabr ai dil-e-mahzun
is mohabbat mein kya nahin hota

go nasim-e-sahar hai aah meri
ghuncha-e-dil to wa nahin hota

murgh-e-bismil sa kyun na main taDpun
dard rahat-faza nahin hota

kyun karun ja ke main use sajda
but-e-kafir KHuda nahin hota

hota nam-o-nishan ka gar talib
main tera naqsh-e-pa nahin hota

kyun dil aata tumhaare dar pe sanam
garche shauq-e-liqa nahin hota

ishq hota nahin to pesh-e-nazar
jalwa-e-haq-numa nahin hota

sar kaTane se ho gai rahat
ishq ka ye maza nahin hota

mujh se dar-parda hai tujhe ulfat
mujh ko ye hausla nahin hota

dil ko kyun kar 'jamila' main phenkun
kisi surat juda nahin hota


Leave a comment

+