Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


kya KHabar thi yar ke aate hi aafat aaegi


kyā ḳhabar thī yaar ke aate hī aafat aa.egī
qāmat-e-zebā meñ poshīda qayāmat aa.egī

pahlū-e-vīrāñ ko apne dekh kar kahtā huuñ maiñ
dil na DhūñDhūñgā yahāñ un kī nadāmat aa.egī

ġham nahīñ monis na ho koī tire bīmār kā
vādī-e-ġhurbat meñ us ke saath himmat aa.egī

is tasavvur meñ na dekhā ā.īna us yaar ne
ban ke jān-e-mubtalā mir.at meñ hairat aa.egī

mārte haiñ be-gunah vo roz ik nāshād ko
rafta rafta ek din apnī bhī naubat aa.egī

dushmanoñ ne ye samajh kar bazm se rokā mujhe
dekh kar shāyad mujhe un ko muravvat aa.egī

merī betābī kī hālat se unheñ aagah kiyā
haif tujh meñ nāma-bar kab ādamiyat aa.egī

go ġharīb-e-be-vatan huuñ ba.ad-e-murdan dekhnā
āh-o-zārī ko mirī turbat pe hasrat aa.egī

hai dam-e-murdan tasavvur ai but-e-zebā tirā
maut aa.egī to ban kar terī sūrat aa.egī

ai 'jamīla' is dil-e-vahshī kī hālat dekh kar
qais ko farhād ko vāmiq ko ibrat aa.egī

kya KHabar thi yar ke aate hi aafat aaegi
qamat-e-zeba mein poshida qayamat aaegi

pahlu-e-viran ko apne dekh kar kahta hun main
dil na DhunDhunga yahan un ki nadamat aaegi

gham nahin monis na ho koi tere bimar ka
wadi-e-ghurbat mein us ke sath himmat aaegi

is tasawwur mein na dekha aaina us yar ne
ban ke jaan-e-mubtala mirat mein hairat aaegi

marte hain be-gunah wo roz ek nashad ko
rafta rafta ek din apni bhi naubat aaegi

dushmanon ne ye samajh kar bazm se roka mujhe
dekh kar shayad mujhe un ko murawwat aaegi

meri betabi ki haalat se unhen aagah kiya
haif tujh mein nama-bar kab aadamiyat aaegi

go gharib-e-be-watan hun baad-e-murdan dekhna
aah-o-zari ko meri turbat pe hasrat aaegi

hai dam-e-murdan tasawwur ai but-e-zeba tera
maut aaegi to ban kar teri surat aaegi

ai 'jamila' is dil-e-wahshi ki haalat dekh kar
qais ko farhad ko wamiq ko ibrat aaegi


Leave a comment

+