Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


KHun rulati hai teri hasrat-e-didar mujhe


ḳhuuñ rulātī hai tirī hasrat-e-dīdār mujhe
terī furqat ne kiyā jaan se bezār mujhe

diiñ ke qābil na rahā aur na rahā duniyā kā
tujh se ḳhud kaam ne aisā kiyā be-kār mujhe

ruuh kahtī hai ki sau jaan se maiñ sadqe huuñ
dil ke parde meñ nazar aayā hai jab yaar mujhe

jis kī chitvan kā tū ghāyal hai maiñ us kā zaḳhmī
dekhtī kyā hai tū ai nargis-e-bīmār mujhe

umr āḳhir huī afsos baḌī ġhaflat se
dam-e-murdan hī kiyā maut ne hoshiyār mujhe

apne hāthoñ se phañsā huuñ maiñ ḳhud hī aafat meñ
hirs-e-duniyā ne kiyā banda-e-afkār mujhe

shaiḳh-jī jā.iye masjid meñ nahīñ jaatā maiñ
but-e-kāfir ne kiyā sāhib-e-zunnār mujhe

ik jhalak duur se dikhlā ke ye chhīnā kaisā
sāmne aa ke dikhā jalva-e-ruḳhsār mujhe

rakh ke tasvīr-e-sanam dil meñ abas kahte ho
shaiḳh huuñ maiñ but-e-kāfir se sarokār mujhe

zabt-e-girya mujhe lāzim hai ki aġhyār meñ yaañ
bazm meñ ḳhaar na kar chashm-e-guhar-bār mujhe

baiTh kar kūcha-e-shah meñ ye 'jamīla' ne kahā
ġhaus kaafī hai tirā sāya-e-dīvār mujhe

KHun rulati hai teri hasrat-e-didar mujhe
teri furqat ne kiya jaan se bezar mujhe

din ke qabil na raha aur na raha duniya ka
tujh se KHud kaam ne aisa kiya be-kar mujhe

ruh kahti hai ki sau jaan se main sadqe hun
dil ke parde mein nazar aaya hai jab yar mujhe

jis ki chitwan ka tu ghayal hai main us ka zaKHmi
dekhti kya hai tu ai nargis-e-bimar mujhe

umr aaKHir hui afsos baDi ghaflat se
dam-e-murdan hi kiya maut ne hoshiyar mujhe

apne hathon se phansa hun main KHud hi aafat mein
hirs-e-duniya ne kiya banda-e-afkar mujhe

shaiKH-ji jaiye masjid mein nahin jata main
but-e-kafir ne kiya sahib-e-zunnar mujhe

ek jhalak dur se dikhla ke ye chhina kaisa
samne aa ke dikha jalwa-e-ruKHsar mujhe

rakh ke taswir-e-sanam dil mein abas kahte ho
shaiKH hun main but-e-kafir se sarokar mujhe

zabt-e-girya mujhe lazim hai ki aghyar mein yan
bazm mein KHar na kar chashm-e-guhar-bar mujhe

baiTh kar kucha-e-shah mein ye 'jamila' ne kaha
ghaus kafi hai tera saya-e-diwar mujhe


Leave a comment

+