hai mire pesh-e-nazar chāñd sī sūrat terī
gul khilā.egī kisī roz mohabbat terī
baar ulfat kā na uThtā kisī āshiq se magar
roz detī hai ilāhī ise qudrat terī
chashm-e-maqtūl ko dekhā to kahā qātil ne
jā.egī tā-ba-lahad saath ye hasrat terī
yās-o-armān-o-tamannā se na ghabrā āshiq
rah-e-ulfat meñ baḌhā.eñgī ye himmat terī
barkateñ kis ke qadam kī haiñ dil-e-zār batā
roz baḌhtī hī chalī jaatī hai vus.at terī
kis ne rokā hai tujhe kyuuñ nahīñ aatī hai qazā
roz ushshāq kiyā karte haiñ minnat terī
jā-ba-jā tere sabab se maiñ rukā jaatā huuñ
aaj dāman meñ kiye detā huuñ fursat terī
shaaq hai terī judā.ī dil-e-ġham-ghīñ mujh ko
le chalī sū-e-bayābāñ mujhe vahshat terī
kibr-o-naḳhvat hai ye kis chiiz pe batlā vo mujhe
ḳhaak hai terī binā kyā hai haqīqat terī
saikḌoñ jurm pe bhī rizq mujhe detā hai
ye ināyat ye mohabbat ye muravvat terī
haa.e afsos 'jamīla' ye huā haal tirā
ab to dekhī nahīñ jaatī hai musībat terī
hai mere pesh-e-nazar chand si surat teri
gul khilaegi kisi roz mohabbat teri
bar ulfat ka na uThta kisi aashiq se magar
roz deti hai ilahi ise qudrat teri
chashm-e-maqtul ko dekha to kaha qatil ne
jaegi ta-ba-lahad sath ye hasrat teri
yas-o-arman-o-tamanna se na ghabra aashiq
rah-e-ulfat mein baDhaengi ye himmat teri
barkaten kis ke qadam ki hain dil-e-zar bata
roz baDhti hi chali jati hai wusat teri
kis ne roka hai tujhe kyun nahin aati hai qaza
roz ushshaq kiya karte hain minnat teri
ja-ba-ja tere sabab se main ruka jata hun
aaj daman mein kiye deta hun fursat teri
shaq hai teri judai dil-e-gham-ghin mujh ko
le chali su-e-bayaban mujhe wahshat teri
kibr-o-naKHwat hai ye kis chiz pe batla wo mujhe
KHak hai teri bina kya hai haqiqat teri
saikDon jurm pe bhi rizq mujhe deta hai
ye inayat ye mohabbat ye murawwat teri
hae afsos 'jamila' ye hua haal tera
ab to dekhi nahin jati hai musibat teri
Leave a comment