Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


hui sar-gashta KHak apni ghubar-e-karwan ho kar


huī sar-gashta ḳhaak apnī ġhubār-e-kārvāñ ho kar
mujhe qismat satātī hai raqīb-e-kāmrāñ ho kar

dil-e-pazh-murda āshiq ko tum apne sāmne rakhnā
tamāshā raqs-e-bismil kā dikhā.egā tapāñ ho kar

hamāre is dil-e-vīrāñ-shuda meñ ai but-e-rā.anā
tumhārī aarzū ghabrā rahī hai mehmāñ ho kar

uḌāyā tezī-e-bād-e-sabā ne gar to ġham kyā hai
ġhubār apnā bulandī par rahegā āsmāñ ho kar

mire dil kī imārat go shikasta haal hai lekin
makān-e-ḳhās ho jā.egā us kā lā-makāñ ho kar

anīs-o-monis-o-hamdam umīdeñ ho nahīñ saktīñ
kahāñ jaatā hai ai dil yūsuf-e-be-kārvāñ ho kar

kareñ kyā guftugū āñkheñ milā kar un raqīboñ se
tumhārī bazm meñ but ban ga.e haiñ be-zabāñ ho kar

hamāre dīda-e-hairat-zad meñ ḳhvāb kyā aa.e
ki terī aarzū baiThī hai is meñ pāsbāñ ho kar

lagānā vaar halkā qatl-gah meñ mujh pe ai qātil
ki lutf raqs-e-bismil maiñ dikhā.ūñ nīm-jāñ ho kar

mirī kāhīdgī aur nā-tavānī pūchhte kyā ho
ġham-e-hijrāñ dabātā hai mujhe bār-e-garāñ ho kar

ḳhudā ke fazl se is bostān-e-na.at-e-mid.hat meñ
'jamīla' naġhma-zan hai bulbul-e-ḳhush-dāstāñ ho kar

hui sar-gashta KHak apni ghubar-e-karwan ho kar
mujhe qismat satati hai raqib-e-kaamran ho kar

dil-e-pazh-murda aashiq ko tum apne samne rakhna
tamasha raqs-e-bismil ka dikhaega tapan ho kar

hamare is dil-e-viran-shuda mein ai but-e-raana
tumhaari aarzu ghabra rahi hai mehman ho kar

uDaya tezi-e-baad-e-saba ne gar to gham kya hai
ghubar apna bulandi par rahega aasman ho kar

mere dil ki imarat go shikasta haal hai lekin
makan-e-KHas ho jaega us ka la-makan ho kar

anis-o-monis-o-hamdam umiden ho nahin saktin
kahan jata hai ai dil yusuf-e-be-karwan ho kar

karen kya guftugu aankhen mila kar un raqibon se
tumhaari bazm mein but ban gae hain be-zaban ho kar

hamare dida-e-hairat-zad mein KHwab kya aae
ki teri aarzu baiThi hai is mein pasban ho kar

lagana war halka qatl-gah mein mujh pe ai qatil
ki lutf raqs-e-bismil main dikhaun nim-jaan ho kar

meri kahidgi aur na-tawani puchhte kya ho
gham-e-hijran dabaata hai mujhe bar-e-garan ho kar

KHuda ke fazl se is bostan-e-nat-e-midhat mein
'jamila' naghma-zan hai bulbul-e-KHush-dastan ho kar

RECITATIONS Azra Naqvi



00:00/00:00 Hui sargashta khaak apni Azra Naqvi

Leave a comment

+