Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


haalat to dekh li meri chashm-e-pur-ab ki


hālat to dekh lī mirī chashm-e-pur-āb kī
saaqī nahīñ havas mujhe jām-e-sharāb kī

dil ko sharār-e-shola-e-ġham ne jalā diyā
pahlū se aa rahī hai jo ḳhushbū kabāb kī

kis kī shamīm ne use aisā basā diyā
aatī hai apnī ḳhaak se ḳhushbū gulāb kī

afsāna-e-guzishta ye kahtā hai mujh se dil
kyā zikr un kā bhūliye bāteñ haiñ ḳhvāb kī

is bārgāh-e-ahmad-e-mursal ke sāmne
vaq.at nahīñ hai kuchh bhī falak se habāb kī

az-farsh tā-ba-arsh munavvar usī se hai
aisī chamak hai rauza-e-ālī-janāb kī

kyūñkar na huuñ maiñ naġhma-sarā un kī na.at meñ
bulbul huuñ bostān-e-risālat-ma.āb kī

is dahr-e-be-baqā se lagā.ūñ maiñ dil ko kyā
hastī hai ek vus.at-e-mauj-e-sarāb kī

izzat na tere arsh pe kyuuñ kar malak kareñ
tū hai 'jamīla' ḳhāk-e-qadam bū-turāb kī

haalat to dekh li meri chashm-e-pur-ab ki
saqi nahin hawas mujhe jam-e-sharab ki

dil ko sharar-e-shola-e-gham ne jala diya
pahlu se aa rahi hai jo KHushbu kabab ki

kis ki shamim ne use aisa basa diya
aati hai apni KHak se KHushbu gulab ki

afsana-e-guzishta ye kahta hai mujh se dil
kya zikr un ka bhuliye baaten hain KHwab ki

is bargah-e-ahmad-e-mursal ke samne
waqat nahin hai kuchh bhi falak se habab ki

az-farsh ta-ba-arsh munawwar usi se hai
aisi chamak hai rauza-e-ali-janab ki

kyunkar na hun main naghma-sara un ki nat mein
bulbul hun bostan-e-risalat-maab ki

is dahr-e-be-baqa se lagaun main dil ko kya
hasti hai ek wusat-e-mauj-e-sarab ki

izzat na tere arsh pe kyun kar malak karen
tu hai 'jamila' KHak-e-qadam bu-turab ki


Leave a comment

+