detā huuñ dil jise vo kahīñ bevafā na ho
ye ishq mere vāste shāyad qazā na ho
duur apne dar se tum na karo ai sanam use
jis ko zarā jahāñ meñ kahīñ aasrā na ho
rāhat se mujh ko niiñd to aa.ī mazār meñ
pahlū ko mere chiir ke dil chal basā na ho
marne ke ba.ad bhī yahī dhaḌkā rahā kyā
mil kar sabā se ḳhaak hamārī havā na ho
shikva karūñ to yaar kā pur-ḳhauf hai yahī
nāzuk mizāj hai vo ye sun kar ḳhafā na ho
parde se dil ke baat jo kartā hai mujhe se ab
aatā hai ye ḳhayāl kahīñ ḳhud ḳhudā na ho
rañgat hai zard ruḳh kī to ḳhushkī laboñ par hai
āsār ishq ke haiñ kahīñ dil lagā na ho
mar jā.ūñ ai 'jamīla' agar ishq-e-ġhaus meñ
mumkin nahīñ ki ḳhāk-e-lahad kīmiyā na ho
deta hun dil jise wo kahin bewafa na ho
ye ishq mere waste shayad qaza na ho
dur apne dar se tum na karo ai sanam use
jis ko zara jahan mein kahin aasra na ho
rahat se mujh ko nind to aai mazar mein
pahlu ko mere chir ke dil chal basa na ho
marne ke baad bhi yahi dhaDka raha kya
mil kar saba se KHak hamari hawa na ho
shikwa karun to yar ka pur-KHauf hai yahi
nazuk mizaj hai wo ye sun kar KHafa na ho
parde se dil ke baat jo karta hai mujhe se ab
aata hai ye KHayal kahin KHud KHuda na ho
rangat hai zard ruKH ki to KHushki labon par hai
aasar ishq ke hain kahin dil laga na ho
mar jaun ai 'jamila' agar ishq-e-ghaus mein
mumkin nahin ki KHak-e-lahad kimiya na ho
Leave a comment