Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khatoon Tasneem

  • Ghazal


nazar mila ke nazar se gira diya tumne


nazar milā ke nazar se girā diyā tum ne
mujhe batāo ḳhudārā ye kyā kyā tum ne

mujhī pe vaar kiyā aur mujhī ko bhuul ga.e
mirī vafā kā ye achchhā sila diyā tum ne

na apne tarz-e-sitam par nigāh kī tum ne
hamārī baat ko itnā baḌhā diyā tum ne

tum aa ke kyā mutabassim hue lahad par mirī
charāġh-e-gor-e-ġharībāñ jalā diyā tum ne

hameñ to hosh nahīñ tum ko ilm hogā zarūr
ki kis qusūr pe dil se bhulā diyā tum ne

kisī ke jaur kā 'tasnīm' ye fasāna hai
ki jis ko nazm banā kar sunā diyā tum ne

nazar mila ke nazar se gira diya tum ne
mujhe batao KHudara ye kya kya tum ne

mujhi pe war kiya aur mujhi ko bhul gae
meri wafa ka ye achchha sila diya tum ne

na apne tarz-e-sitam par nigah ki tum ne
hamari baat ko itna baDha diya tum ne

tum aa ke kya mutabassim hue lahad par meri
charagh-e-gor-e-ghariban jala diya tum ne

hamein to hosh nahin tum ko ilm hoga zarur
ki kis qusur pe dil se bhula diya tum ne

kisi ke jaur ka 'tasnim' ye fasana hai
ki jis ko nazm bana kar suna diya tum ne


Source: Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 108) Author : Khan Mohammad Atif Publication : Khan Mohammad Atif (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+