Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Yusuf

  • Ghazal


waqt ki tah mein utar jaunga


vaqt kī tah meñ utar jā.ūñgā
maiñ bhī lamha huuñ guzar jā.ūñgā

ab jo niklā huuñ tire ḳhvāb liye
tā-ba-imkān-e-nazar jā.ūñgā

tū har ik shai meñ milegā mujh ko
tujh ko pā.ūñgā jidhar jā.ūñgā

vo bhī din the ki gumāñ hotā thā
tujh se bichhḌuñgā to mar jā.ūñgā

tū mirā hamdam-o-hamrāz na ban
maiñ to nashsha huuñ utar jā.ūñgā

waqt ki tah mein utar jaunga
main bhi lamha hun guzar jaunga

ab jo nikla hun tere KHwab liye
ta-ba-imkan-e-nazar jaunga

tu har ek shai mein milega mujh ko
tujh ko paunga jidhar jaunga

wo bhi din the ki guman hota tha
tujh se bichhDunga to mar jaunga

tu mera hamdam-o-hamraaz na ban
main to nashsha hun utar jaunga


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+