Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Yusuf

  • Ghazal


sada ka loch suKHan ka nikhaar le ke chale


sadā kā loch suḳhan kā nikhār le ke chale
tirī nazar se fusūn-e-bahār le ke chale

tire jamāl kī sub.h-e-javāñ thī āñkhoñ meñ
jabīñ pe shām-e-sitam kā ġhubār le ke chale

rah-e-vafā meñ matā-e-safar kī baat na pūchh
bas ek zindagī-e-musta.ār le ke chale

na yaar lutf pe maa.il na shahr dard-shanās
kahāñ ye ham dil-e-ummīd-vār le ke chale

talab kī raah meñ ik ye bhī hādisa guzrā
ham apne zauq-e-nazar kā vaqār le ke chale

sada ka loch suKHan ka nikhaar le ke chale
teri nazar se fusun-e-bahaar le ke chale

tere jamal ki subh-e-jawan thi aankhon mein
jabin pe sham-e-sitam ka ghubar le ke chale

rah-e-wafa mein mata-e-safar ki baat na puchh
bas ek zindagi-e-mustaar le ke chale

na yar lutf pe mail na shahr dard-shanas
kahan ye hum dil-e-ummid-war le ke chale

talab ki rah mein ek ye bhi hadisa guzra
hum apne zauq-e-nazar ka waqar le ke chale


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+