Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Yusuf

  • Ghazal


ye ajab rasta hai jis pe lagaya hai mujhe


ye ajab rāsta hai jis pe lagāyā hai mujhe
mahv-e-hairat huuñ ki kyā chiiz banāyā hai mujhe

terī duurī bhī hai mushkil tirī qurbat bhī muhāl
kis qadar tū ne mirī jaan satāyā hai mujhe

tū kisī phuul kisī aañkh ke parde meñ rahā
tū ne kab apnā hasīñ chehra dikhāyā hai mujhe

mere firdaus kī nahreñ mirī ḳhātir haiñ to kyuuñ
pyaas ke dasht meñ hairān phirāyā hai mujhe

saarī maḳhlūq se taqvīm meñ ahsan huuñ maiñ
aur phir aag kā īñdhan bhī banāyā hai mujhe

apnī taḳhrīb pe nādim huuñ na ta.amīr pe ḳhush
tū ne Dhāyā hai mujhe tū ne banāyā hai mujhe

ye ajab rasta hai jis pe lagaya hai mujhe
mahw-e-hairat hun ki kya chiz banaya hai mujhe

teri duri bhi hai mushkil teri qurbat bhi muhaal
kis qadar tu ne meri jaan sataya hai mujhe

tu kisi phul kisi aankh ke parde mein raha
tu ne kab apna hasin chehra dikhaya hai mujhe

mere firdaus ki nahren meri KHatir hain to kyun
pyas ke dasht mein hairan phiraya hai mujhe

sari maKHluq se taqwim mein ahsan hun main
aur phir aag ka indhan bhi banaya hai mujhe

apni taKHrib pe nadim hun na tamir pe KHush
tu ne Dhaya hai mujhe tu ne banaya hai mujhe


Leave a comment

+