Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Yusuf

  • Ghazal


ab to apne jism ka saya bhi begana hua


ab to apne jism kā saaya bhī begāna huā
maiñ tirī mahfil meñ aa kar aur bhī tanhā huā

vaqf-e-dard-e-jāñ huā mahv-e-ġham-e-duniyā huā
dil ajab shai hai kabhī qatra kabhī dariyā huā

terī aahaT ke ta.āqub meñ huuñ sadiyoñ se ravāñ
rāstoñ ke pech-o-ḳham meñ Thokareñ khātā huā

lazzat-e-dīdār kī ai sā.at-e-raḳhshāñ Thahar
paḌh rahā huuñ maiñ tire chehre pe kuchh likkhā huā

ab to tere husn kī har anjuman meñ dhuum hai
jis ne merā haal dekhā terā dīvāna huā

vo samay ruḳhsat hue hamdam vo shāmeñ kho ga.iiñ
kin ḳhayāloñ ke jhameloñ meñ hai tū uljhā huā

ab to apne jism ka saya bhi begana hua
main teri mahfil mein aa kar aur bhi tanha hua

waqf-e-dard-e-jaan hua mahw-e-gham-e-duniya hua
dil ajab shai hai kabhi qatra kabhi dariya hua

teri aahaT ke taaqub mein hun sadiyon se rawan
raston ke pech-o-KHam mein Thokaren khata hua

lazzat-e-didar ki ai saat-e-raKHshan Thahar
paDh raha hun main tere chehre pe kuchh likkha hua

ab to tere husn ki har anjuman mein dhum hai
jis ne mera haal dekha tera diwana hua

wo samay ruKHsat hue hamdam wo shamen kho gain
kin KHayalon ke jhamelon mein hai tu uljha hua


Source: Book : Ghazalistaan (Pg. 205) Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003) Edition : 2003

Leave a comment

+