Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Qureshi

  • Ghazal


riwayaton ko kabhi tum asas mat karna


rivāyatoñ ko kabhī tum asaas mat karnā
maiñ lauT ā.ūñgā hargiz ye aas mat karnā

giraft-e-ḳhvāb se jis ne rihā.ī dī tum ko
vo ḳhud bhī jāgtā hogā qayās mat karnā

bikhar rahe ho to phir TūTtā bhī andar se
shikastagī ko tum apnā libās mat karnā

kiyā ho jaañ se guzarne kā faisla jis meñ
us ek lamhe ko sarf-e-hirās mat karnā

agarche haath meñ ho kāsa-e-gadā.ī bhī
ḳhudā ke ba.ad kisī kī sipās mat karnā

ḳhizāñ ke vaar se ghabrā ke ai 'jamīl' kabhī
shaguft-e-gul ke liye iltimās mat karnā

riwayaton ko kabhi tum asas mat karna
main lauT aaunga hargiz ye aas mat karna

giraft-e-KHwab se jis ne rihai di tum ko
wo KHud bhi jagta hoga qayas mat karna

bikhar rahe ho to phir TuTta bhi andar se
shikastagi ko tum apna libas mat karna

kiya ho jaan se guzarne ka faisla jis mein
us ek lamhe ko sarf-e-hiras mat karna

agarche hath mein ho kasa-e-gadai bhi
KHuda ke baad kisi ki sipas mat karna

KHizan ke war se ghabra ke ai 'jamil' kabhi
shaguft-e-gul ke liye iltimas mat karna


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+