Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Mazhari

  • Ghazal


parda hail jo tha kahan hai ab


parda haa.il jo thā kahāñ hai ab
terā jalva hī darmiyāñ hai ab

sham.a kahtī rahī jise shab bhar
ḳhātme par vo dāstāñ hai ab

merī nazroñ kī ik thakan ke sivā
aur kyā chiiz āsmāñ hai ab

sabr kā mere imtihāñ to huā
terī rahmat kā imtihāñ hai ab

tū bhī merī tarah na ho nākām
fikr ye rab-e-do-jahāñ hai ab

kāmyābī ke gur batāne lagī
ishq par aql mehrbāñ hai ab

'maz.harī' pesh-e-kārvāñ thā kabhī
'maz.harī' gard-e-kārvāñ hai ab

parda hail jo tha kahan hai ab
tera jalwa hi darmiyan hai ab

shama kahti rahi jise shab bhar
KHatme par wo dastan hai ab

meri nazron ki ek thakan ke siwa
aur kya chiz aasman hai ab

sabr ka mere imtihan to hua
teri rahmat ka imtihan hai ab

tu bhi meri tarah na ho nakaam
fikr ye rab-e-do-jahan hai ab

kaamyabi ke gur batane lagi
ishq par aql mehrban hai ab

'mazhari' pesh-e-karwan tha kabhi
'mazhari' gard-e-karwan hai ab


Leave a comment

+