Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Mazhari

  • Ghazal


kab tak nibahen aise ghalat aadmi se hum


kab tak nibāheñ aise ġhalat aadmī se ham
duniyā hai 'maz.harī' se ḳhafā 'maz.harī' se ham

bhāge zarūr arsa-e-tañg-e-ḳhudī se ham
nikle magar na dā.ira-e-āgahī se ham

is zindagī ne aap se rakkhā hai mujh ko duur
kis tarah intiqām na leñ zindagī se ham

har jāma-e-sifāt meñ kyuuñ kar na jhol ho
hai ye ki nāpte haiñ ḳhudā ko ḳhudī se ham

tulte haiñ jis tarāzū meñ sīm-o-zar o guhar
kyā zulm hai diloñ ko bhī tauleñ usī se ham

sairābiyāñ 'jamīl' ko itnā na de sakīñ
jitnā ki faizyāb hue tishnagī se ham

kab tak nibahen aise ghalat aadmi se hum
duniya hai 'mazhari' se KHafa 'mazhari' se hum

bhage zarur arsa-e-tang-e-KHudi se hum
nikle magar na daira-e-agahi se hum

is zindagi ne aap se rakkha hai mujh ko dur
kis tarah intiqam na len zindagi se hum

har jama-e-sifat mein kyun kar na jhol ho
hai ye ki napte hain KHuda ko KHudi se hum

tulte hain jis taraazu mein sim-o-zar o guhar
kya zulm hai dilon ko bhi taulen usi se hum

sairabiyan 'jamil' ko itna na de sakin
jitna ki faizyab hue tishnagi se hum

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 kab tak nibahen aise ghalat aadmi se hum Nomaan Shauque

Leave a comment

+