Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Mazhari

  • Ghazal


tu ne sine ko jab tak KHalish di na thi tu ne jazbon ko jab tak ubhaara na tha


tū ne siine ko jab tak ḳhalish dī na thī tū ne jazboñ ko jab tak ubhārā na thā
maiñ vo dariyā thā jis meñ ki lahreñ na thiiñ maiñ vo qulzum thā jis meñ ki dhārā na thā

tere aage na yārān-e-ḳhud-sar jhuke terī chaukhaT se bhāge to dar dar jhuke
us jagah dil jhuke us jagah sar jhuke bandagī ke sivā koī chārā na thā

ashk motī na the bah ga.e bah ga.e hañste hañste ye tum aaj kyā kah ga.e
yaad kar ke vo din ham bhī chup rah ga.e jab in āñkhoñ meñ aañsū gavārā na thā

saaz fariyād ke dil ne chheḌe na the hijr aur vasl ke ye bakheḌe na the
ham ne dāman ke baḳhiye udheḌe na the tum ne zulfoñ ko apnī sañvārā na thā

tujh meñ dariyā koī kis sahāre chale maiñ jo pachchhim to pūrab ko dhāre chale
merī kashtī kināre kināre chale terī maujoñ ko ye bhī gavārā na thā

dekh parvānoñ ke raqs-e-betāb ko sham.a aane na de aañkh meñ ḳhvāb ko
ek jhapkī sī aa.ī thī mahtāb ko aañkh kholī to koī sitārā na thā

ek tannūr se sho.ale uTThā kiye aag jaltī rahī log taapā kiye
duur baiThe vo pahlū bachāyā kiye jin kī qismat meñ koī sharārā na thā

donoñ afsāna-ḳhvāñ gird mahmil ke the qais sahrā kā thā ḳhizr manzil ke the
'maz.harī' bhī ġhulām apne hī dil ke the in divānoñ meñ koī tumhārā na thā

tu ne sine ko jab tak KHalish di na thi tu ne jazbon ko jab tak ubhaara na tha
main wo dariya tha jis mein ki lahren na thin main wo qulzum tha jis mein ki dhaara na tha

tere aage na yaran-e-KHud-sar jhuke teri chaukhaT se bhage to dar dar jhuke
us jagah dil jhuke us jagah sar jhuke bandagi ke siwa koi chaara na tha

ashk moti na the bah gae bah gae hanste hanste ye tum aaj kya kah gae
yaad kar ke wo din hum bhi chup rah gae jab in aankhon mein aansu gawara na tha

saz fariyaad ke dil ne chheDe na the hijr aur wasl ke ye bakheDe na the
hum ne daman ke baKHiye udheDe na the tum ne zulfon ko apni sanwara na tha

tujh mein dariya koi kis sahaare chale main jo pachchhim to purab ko dhaare chale
meri kashti kinare kinare chale teri maujon ko ye bhi gawara na tha

dekh parwanon ke raqs-e-betab ko shama aane na de aankh mein KHwab ko
ek jhapki si aai thi mahtab ko aankh kholi to koi sitara na tha

ek tannur se shoale uTTha kiye aag jalti rahi log tapa kiye
dur baiThe wo pahlu bachaya kiye jin ki qismat mein koi sharara na tha

donon afsana-KHwan gird mahmil ke the qais sahra ka tha KHizr manzil ke the
'mazhari' bhi ghulam apne hi dil ke the in diwanon mein koi tumhaara na tha


Leave a comment

+