raat kitne nā-tarāshīda guhar bhī lā.egī
nā-tarāshīda sī zau lekin sahar bhī lā.egī
jagmagā uTTheñge shāḳhoñ par gulāboñ ke charāġh
jab bahār aa.ī to apne bāl-o-par bhī lā.egī
aaj tak lauTe nahīñ nādīda sham.oñ ke safīr
jugnuoñ kī raushnī un kī ḳhabar bhī lā.egī
jab milī āvārgī ko manzil-e-ḳhud-āgahī
dasht meñ kho.e huoñ ko apne ghar bhī lā.egī
ḳhaak se taḳhlīq hogī ātish-o-āb-o-havā
zindagī ḳhud apnā sāmān-e-safar bhī lā.egī
tā-ba-kai chhup kar karoge merā sar tan se judā
dekhnā kal kī gavāhī merā sar bhī lā.egī
jab bujhegī aag to apne hī naġhmoñ se 'jamīl'
zard āñdhī bārish-e-barq-o-sharar bhī lā.egī
raat kitne na-tarashida guhar bhi laegi
na-tarashida si zau lekin sahar bhi laegi
jagmaga uTThenge shaKHon par gulabon ke charagh
jab bahaar aai to apne baal-o-par bhi laegi
aaj tak lauTe nahin nadida shamon ke safir
jugnuon ki raushni un ki KHabar bhi laegi
jab mili aawargi ko manzil-e-KHud-agahi
dasht mein khoe huon ko apne ghar bhi laegi
KHak se taKHliq hogi aatish-o-ab-o-hawa
zindagi KHud apna saman-e-safar bhi laegi
ta-ba-kai chhup kar karoge mera sar tan se juda
dekhna kal ki gawahi mera sar bhi laegi
jab bujhegi aag to apne hi naghmon se 'jamil'
zard aandhi barish-e-barq-o-sharar bhi laegi
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment