Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Malik

  • Ghazal


KHushbu-e-pairahan se sulagte rahe dimagh


ḳhushbū-e-pairahan se sulagte rahe dimāġh
aa.ī shab-e-firāq to gul ho ga.e charāġh

dil kī lagī bhaḌak ke nigāhoñ tak aa ga.ī
palkoñ pe shām-e-vasl jalā.e haiñ dil ke daaġh

us chashm-e-mai-farosh se hañgām-e-nāv-nosh
phūTā vo sail-e-nūr ki lau de uThe ayāġh

vo gul khileñ ki jin kī mahak lā-zavāl ho
is ek din meñ ham ne sajā.e haiñ kitne baaġh

āḳhir khulā ki tū hai mire ghar kī raushnī
yuuñ to tire baġhair bhī jalte rahe charāġh

jab chashm-o-dil bujhe to shabistān-e-shauq meñ
ham ne hatheliyoñ pe jalā.e haiñ shab charāġh

jo vādī-e-jamāl meñ gum ho ga.e 'jamīl'
apnī talab ke saath hī un kā bhī kuchh surāġh

KHushbu-e-pairahan se sulagte rahe dimagh
aai shab-e-firaq to gul ho gae charagh

dil ki lagi bhaDak ke nigahon tak aa gai
palkon pe sham-e-wasl jalae hain dil ke dagh

us chashm-e-mai-farosh se hangam-e-naw-nosh
phuTa wo sail-e-nur ki lau de uThe ayagh

wo gul khilen ki jin ki mahak la-zawal ho
is ek din mein hum ne sajae hain kitne bagh

aaKHir khula ki tu hai mere ghar ki raushni
yun to tere baghair bhi jalte rahe charagh

jab chashm-o-dil bujhe to shabistan-e-shauq mein
hum ne hatheliyon pe jalae hain shab charagh

jo wadi-e-jamal mein gum ho gae 'jamil'
apni talab ke sath hi un ka bhi kuchh suragh


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+