Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Malik

  • Ghazal


kya kya ba-dast-e-ghaib sabhi ne liya na tha


kyā kyā ba-dast-e-ġhaib sabhī ne liyā na thā
lekin mirī vafā kā koī bhī sila na thā

āvāza-e-raqīb se uljhe haiñ baar baar
tujh se shikāyatoñ kā magar hausla na thā

us kī navāzishoñ pe na itrāo dosto
mujh par karam vo thā ki kisī par huā na thā

lete haiñ baar baar vo aise ḳhudā kā naam
duniyā meñ jaise aur kisī kā ḳhudā na thā

raste dayār-e-dil ke bhī kitne ajiib the
sab rāh-rau the koī yahāñ rahnumā na thā

dil ne to apnī baat kahī sab ke rū-ba-rū
dil thā munāfiqat se kabhī āshnā na thā

shīsha-garoñ ne us kī basīrat bhī chhīn lī
āñkheñ thiiñ us ke paas magar dekhtā na thā

nādīda manziloñ ke musāfir the kitne log
chalnā thā jin kā kaam magar aasrā na thā

kyā bujh ga.e the mere hī ghar ke sabhī charāġh
yā shahr bhar meñ diyā bhī jalā na thā

us gul kā āb-o-rañg hī thā rū-kash-e-bahār
jo gul darūn-e-shāḳh thā lekin khilā na thā

qātil to aur bhī the bahut shahr-e-dard meñ
tujh sā magar 'jamīl' koī dūsrā na thā

kya kya ba-dast-e-ghaib sabhi ne liya na tha
lekin meri wafa ka koi bhi sila na tha

aawaza-e-raqib se uljhe hain bar bar
tujh se shikayaton ka magar hausla na tha

us ki nawazishon pe na itrao dosto
mujh par karam wo tha ki kisi par hua na tha

lete hain bar bar wo aise KHuda ka nam
duniya mein jaise aur kisi ka KHuda na tha

raste dayar-e-dil ke bhi kitne ajib the
sab rah-rau the koi yahan rahnuma na tha

dil ne to apni baat kahi sab ke ru-ba-ru
dil tha munafiqat se kabhi aashna na tha

shisha-garon ne us ki basirat bhi chhin li
aankhen thin us ke pas magar dekhta na tha

nadida manzilon ke musafir the kitne log
chalna tha jin ka kaam magar aasra na tha

kya bujh gae the mere hi ghar ke sabhi charagh
ya shahr bhar mein diya bhi jala na tha

us gul ka aab-o-rang hi tha ru-kash-e-bahaar
jo gul darun-e-shaKH tha lekin khila na tha

qatil to aur bhi the bahut shahr-e-dard mein
tujh sa magar 'jamil' koi dusra na tha


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 411) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+