Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Malik

  • Ghazal


munh-band hasraton ko suKHan-ashna karo


muñh-band hasratoñ ko suḳhan-āshnā karo
toḌo sukūt sāz-e-ġhazal ibtidā karo

laao kahīñ se sañg-e-malāmat hī kyuuñ na ho
yaaro shikast-e-shīsha-e-dil kī duā karo

ma.asūm laġhzishoñ kī bahut daad mil chukī
ab āshnā-e-ġhair ke ta.ane sunā karo

haare hue ḳhulūs pe sharmindagī hai kyuuñ
kis ne nahīñ kahā thā ki dil kā kiyā karo

nādān ho jahāñ kā chalan dekhte nahīñ
rasm-e-jafā ko aam ba-nām-e-vafā karo

phir koī jāñ-navāz bahāna tarāsh lo
phir koī dil-fareb achhūtī ḳhatā karo

mil jā.egā 'jamīl' koī zaḳhm koī phuul
aao na tum bhī kūcha-e-dil meñ sadā karo

munh-band hasraton ko suKHan-ashna karo
toDo sukut saz-e-ghazal ibtida karo

lao kahin se sang-e-malamat hi kyun na ho
yaro shikast-e-shisha-e-dil ki dua karo

masum laghzishon ki bahut dad mil chuki
ab aashna-e-ghair ke tane suna karo

haare hue KHulus pe sharmindagi hai kyun
kis ne nahin kaha tha ki dil ka kiya karo

nadan ho jahan ka chalan dekhte nahin
rasm-e-jafa ko aam ba-nam-e-wafa karo

phir koi jaan-nawaz bahana tarash lo
phir koi dil-fareb achhuti KHata karo

mil jaega 'jamil' koi zaKHm koi phul
aao na tum bhi kucha-e-dil mein sada karo


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+