kis se paimān-e-vafā bāñdhte ho
vaqt kā āb-e-ravāñ hai ye to
koī sun legā to charchā hogā
apne dil se bhī ye bāteñ na karo
koī bajtī huī shahnā.ī hai
jhāñk kar parda-e-gul meñ dekho
jab sitāroñ ke kañval khilte haiñ
jhilmilātā hai tumhārā partav
dil ke āñgan meñ kiran nāchegī
chāñdnī raat meñ āvāz to do
zaḳhm phir se na hare ho jaa.eñ
mujh se yuuñ pyaar kī bāteñ na karo
aap kā hamdam-e-dairīna huuñ
sar uThāo mirī jānib dekho
kis se paiman-e-wafa bandhte ho
waqt ka aab-e-rawan hai ye to
koi sun lega to charcha hoga
apne dil se bhi ye baaten na karo
koi bajti hui shahnai hai
jhank kar parda-e-gul mein dekho
jab sitaron ke kanwal khilte hain
jhilmilata hai tumhaara partaw
dil ke aangan mein kiran nachegi
chandni raat mein aawaz to do
zaKHm phir se na hare ho jaen
mujh se yun pyar ki baaten na karo
aap ka hamdam-e-dairina hun
sar uThao meri jaanib dekho
Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 1967) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967) Edition : 1967
Leave a comment