Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Azimabadi

  • Ghazal


khet shadab hain gulshan mein bhi ranai hai


khet shādāb haiñ gulshan meñ bhī ra.anā.ī hai
ek muddat pe duāoñ kī pazīrā.ī hai

nik.hat-o-rañg kā paiġhām sabā laa.ī hai
bā-vafā kitnī mere desh kī purvā.ī hai

chāñdnī bahr-e-taḳhayyul meñ utar aa.ī hai
hajla-e-nūr merī yaad kī gahrā.ī hai

lāla-o-gul kī qasam azmat-e-sahrā kī qasam
abr-e-rahmat kā har ik shaḳhs tamannā.ī hai

shukr hai jazba-e-ulfat ke thapeḌe khā kar
kashtī-e-azm ab tūfāñ se nikal aa.ī hai

kaT ga.ī raat mirī sa.ī-e-musalsal ke tufail
raushnī sub.h-e-daraḳhshāñ kī ḳhabar laa.ī hai

dushman-e-jāñ bhī tirī baat ke qātil haiñ 'jamīl'
tere har sher meñ aḳhlāq hai sachchā.ī hai

khet shadab hain gulshan mein bhi ranai hai
ek muddat pe duaon ki pazirai hai

nikhat-o-rang ka paigham saba lai hai
ba-wafa kitni mere desh ki purwai hai

chandni bahr-e-taKHayyul mein utar aai hai
hajla-e-nur meri yaad ki gahrai hai

lala-o-gul ki qasam azmat-e-sahra ki qasam
abr-e-rahmat ka har ek shaKHs tamannai hai

shukr hai jazba-e-ulfat ke thapeDe kha kar
kashti-e-azm ab tufan se nikal aai hai

kaT gai raat meri sai-e-musalsal ke tufail
raushni subh-e-daraKHshan ki KHabar lai hai

dushman-e-jaan bhi teri baat ke qatil hain 'jamil'
tere har sher mein aKHlaq hai sachchai hai


Leave a comment

+