toḌ ke naatā ham-sajnoñ se pag pag vo pachtā.e haiñ
jab jab un se aañkh milī hai tab tab vo sharmā.e haiñ
rūp-nagar ko chhoḌ ke jab se ās-nagar ko aa.e haiñ
sahrā sahrā dhuup kaḌī hai peḌ na koī saa.e haiñ
jañgal jañgal aag lagī hai dariyā dariyā paanī hai
nagrī nagrī thaah nahīñ hai log bahut ghabrā.e haiñ
sachchā.ī hai amrit dhārā sachchā.ī anmol sahārā
sach ke raste chal ke sab ne Thor Thikāne paa.e haiñ
daulat to hai ānī-jānī rūp-nagar kī rām-kahānī
dhan ke log bhī dhartī par kab sukh se rahne paa.e haiñ
shīsha jab bhī TūTegā jhankār fazā meñ gūñjegī
jab hī komal desh dulāre patthar se Takrā.e haiñ
jhuuT kā Dañkā bajtā thā jis vaqt 'jamīl' is nagrī meñ
har raste har moḌ pe ham ne sach ke alam lahrā.e haiñ
toD ke nata ham-sajnon se pag pag wo pachtae hain
jab jab un se aankh mili hai tab tab wo sharmae hain
rup-nagar ko chhoD ke jab se aas-nagar ko aae hain
sahra sahra dhup kaDi hai peD na koi sae hain
jangal jangal aag lagi hai dariya dariya pani hai
nagri nagri thah nahin hai log bahut ghabrae hain
sachchai hai amrit dhaara sachchai anmol sahaara
sach ke raste chal ke sab ne Thor Thikane pae hain
daulat to hai aani-jaani rup-nagar ki ram-kahani
dhan ke log bhi dharti par kab sukh se rahne pae hain
shisha jab bhi TuTega jhankar faza mein gunjegi
jab hi komal desh dulare patthar se Takrae hain
jhuT ka Danka bajta tha jis waqt 'jamil' is nagri mein
har raste har moD pe hum ne sach ke alam lahrae hain
Source: Book : siip (Magzin) (Pg. 238) Author : Nasiim Durraani Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly)) Edition : 39 (Quarterly)
Leave a comment