pahle kī ba-nisbat hai mujhe kaam ziyāda
dil ko hai magar ḳhvāhish-e-ārām ziyāda
nākām rahī shā.erī jin pesh-ravoñ kī
dete haiñ azīzoñ ko vo paiġhām ziyāda
kam-kosh the kaj apnī kulah rakh nahīñ paa.e
bāġhī na bane aur hue badnām ziyāda
kuchh haare hue baiTh ke ab soch rahe haiñ
āġhāz kyā kam huā anjām ziyāda
duniyā se tavaqqo.a nahīñ kuchh dād-o-sitad kī
ḳhūbāñ ko sadā detī hai dushnām ziyāda
pahle ki ba-nisbat hai mujhe kaam ziyaada
dil ko hai magar KHwahish-e-aram ziyaada
nakaam rahi shaeri jin pesh-rawon ki
dete hain azizon ko wo paigham ziyaada
kam-kosh the kaj apni kulah rakh nahin pae
baghi na bane aur hue badnam ziyaada
kuchh haare hue baiTh ke ab soch rahe hain
aaghaz kya kam hua anjam ziyaada
duniya se tawaqqoa nahin kuchh dad-o-sitad ki
KHuban ko sada deti hai dushnam ziyaada
Source: Book : Shor ke darmayan (Pg. 107) Author : Jamal Owaisi Publication : Educational Publishing House (2006) Edition : 2006
Leave a comment