masjūd merā rāh-numā kyuuñ nahīñ huā
terā ḳhudā bhī merā ḳhudā kyuuñ nahīñ huā
mujh ko zamīr Toktā rahtā hai har ghaḌī
logoñ kā dil bhī shīsha-numā kyuuñ nahīñ huā
maiñ be-dimāġh dost banātā rahā sadā
mujh par asar ḳhushūnatoñ kā kyuuñ nahīñ huā
zāhir-parast log mire ās-pās haiñ
maiñ bhī unhīñ ke jaisā bhalā kyuuñ nahīñ huā
marte haiñ sab talāsh-e-hayāt-e-davām meñ
terā sahīfa āb-e-baqā kyuuñ nahīñ huā
bastī ke saare log jise pūjte rahe
mere liye vo fard ḳhudā kyuuñ nahīñ huā
phirtā rahā galī galī terī talāsh meñ
ma.alūm tere ghar kā patā kyuuñ nahīñ huā
masjud mera rah-numa kyun nahin hua
tera KHuda bhi mera KHuda kyun nahin hua
mujh ko zamir Tokta rahta hai har ghaDi
logon ka dil bhi shisha-numa kyun nahin hua
main be-dimagh dost banata raha sada
mujh par asar KHushunaton ka kyun nahin hua
zahir-parast log mere aas-pas hain
main bhi unhin ke jaisa bhala kyun nahin hua
marte hain sab talash-e-hayat-e-dawam mein
tera sahifa aab-e-baqa kyun nahin hua
basti ke sare log jise pujte rahe
mere liye wo fard KHuda kyun nahin hua
phirta raha gali gali teri talash mein
malum tere ghar ka pata kyun nahin hua
Source: Book : Shor ke darmayan (Pg. 43) Author : Jamal Owaisi Publication : Educational Publishing House (2006) Edition : 2006
Leave a comment