qarīb aate hue aur duur jaate hue
ye kaun log haiñ be-vaj.h muskurāte hue
ye lamhe sāz-e-azal se chhalak ke gir ga.e the
tabhī se yuuñ hī musalsal haiñ gungunāte hue
ik aisī samt jidhar kab se hū kā aalam hai
maiñ jā rahā huuñ akelā qadam baḌhāte hue
maiñ kab se dekh rahā huuñ ajiib sī harakat
mirā likhā huā kuchh log haiñ miTāte hue
jo dal ke paas the un se hai ma.arka darpesh
chalā huuñ jazboñ kī dīvār aaj Dhāte hue
qarib aate hue aur dur jate hue
ye kaun log hain be-wajh muskuraate hue
ye lamhe saz-e-azal se chhalak ke gir gae the
tabhi se yun hi musalsal hain gungunate hue
ek aisi samt jidhar kab se hu ka aalam hai
main ja raha hun akela qadam baDhate hue
main kab se dekh raha hun ajib si harakat
mera likha hua kuchh log hain miTate hue
jo dal ke pas the un se hai marka darpesh
chala hun jazbon ki diwar aaj Dhate hue
Source: Book : Shor ke darmayan (Pg. 44) Author : Jamal Owaisi Publication : Educational Publishing House (2006) Edition : 2006
Leave a comment