Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Owaisi

  • Ghazal


badan pe KHarqa-e-tahzib phaTne wala hai


badan pe ḳharqa-e-tahzīb phaTne vaalā hai
jise bachā ke rakhā hai bahut sambhālā hai

tumheñ dikhā.ūñ maiñ shahr-e-jadīd kā naqsha
ye DeḌh iiñT kī masjid hai ye shivāla hai

tamām raikoñ meñ rakkhī huī kitāboñ meñ
tumheñ ḳhabar nahīñ fikr-o-nazar kā jaalā hai

muhīb añdhere meñ raushan ḳhayāl logoñ par
na jaane agle hī pal kyā guzarne vaalā hai

jahāñ bhī ubhrī sadā-e-zamīr-e-insānī
jadīdiyat ke naqīboñ ne maar Daalā hai

fazā meñ uḌte hue aur laḌkhaḌāte hue
parind-e-ḳhasta kā ik āḳhirī sambhālā hai

badan pe KHarqa-e-tahzib phaTne wala hai
jise bacha ke rakha hai bahut sambhaala hai

tumhein dikhaun main shahr-e-jadid ka naqsha
ye DeDh inT ki masjid hai ye shiwala hai

tamam raikon mein rakkhi hui kitabon mein
tumhein KHabar nahin fikr-o-nazar ka jala hai

muhib andhere mein raushan KHayal logon par
na jaane agle hi pal kya guzarne wala hai

jahan bhi ubhri sada-e-zamir-e-insani
jadidiyat ke naqibon ne mar Dala hai

faza mein uDte hue aur laDkhaDate hue
parind-e-KHasta ka ek aaKHiri sambhaala hai


Source: Book : Shor ke darmayan (Pg. 20) Author : Jamal Owaisi Publication : Educational Publishing House (2006) Edition : 2006

Leave a comment

+