ġhubār kis kā hai isti.āra ye gard kis vāste uḌī hai
yahāñ vahāñ ek ek zarre meñ sar-kashī kis ne Daal dī hai
bikhar ga.ī hai purānī tartīb saare unsur alag hue haiñ
har ek apne meñ ik mukammal vajūdiyat kā alāmatī hai
jahāñ pe zarrāt kī sulag thī vahāñ pe idrāk tham gayā thā
basīrat apnī bhī us ke aage hazār chāhā na jā sakī hai
nafas pe ġhālib hai nafs takiya harām se sochnā samajhnā
zamīr jaage to aah bhar lo ki ab qayāmat hī aa rahī hai
mujhe pukāro mujhe sadā do maiñ ek khoyā huā bashar huuñ
shu.ūr meñ lā-shu.ūr kī tarah ek āvāz gūñjtī hai
khaḌā huuñ maiñ das hazār saala qadīm duniyā ke biich 'ovaisī'
ulaT ke tārīḳh ke varaq zindagī mujhe kuchh sunā rahī hai
tilism kaisā hai us ne mere havās qaabū meñ kar liye haiñ
maiñ us ko pahchāntā nahīñ huuñ jo merī chaukhaT pe aa chukī hai
ghubar kis ka hai istiara ye gard kis waste uDi hai
yahan wahan ek ek zarre mein sar-kashi kis ne Dal di hai
bikhar gai hai purani tartib sare unsur alag hue hain
har ek apne mein ek mukammal wajudiyat ka alamati hai
jahan pe zarraat ki sulag thi wahan pe idrak tham gaya tha
basirat apni bhi us ke aage hazar chaha na ja saki hai
nafas pe ghaalib hai nafs takiya haram se sochna samajhna
zamir jage to aah bhar lo ki ab qayamat hi aa rahi hai
mujhe pukaro mujhe sada do main ek khoya hua bashar hun
shuur mein la-shuur ki tarah ek aawaz gunjti hai
khaDa hun main das hazar sala qadim duniya ke bich 'owaisi'
ulaT ke tariKH ke waraq zindagi mujhe kuchh suna rahi hai
tilism kaisa hai us ne mere hawas qabu mein kar liye hain
main us ko pahchanta nahin hun jo meri chaukhaT pe aa chuki hai
Source: Book : Shor ke darmayan (Pg. 81) Author : Jamal Owaisi Publication : Educational Publishing House (2006) Edition : 2006
Leave a comment