Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Owaisi

  • Ghazal


har lamha dil-doz KHamoshi chiKH rahi hai


har lamha dil-doz ḳhamoshī chīḳh rahī hai
maiñ huuñ jahāñ tanhā.ī merī chīḳh rahī hai

ghar ke sab darvāze kyuuñ dīvār hue haiñ
ghar se bāhar duniyā saarī chīḳh rahī hai

ḳhālī āñkheñ sulag rahī haiñ ḳhushk haiñ aañsū
andar andar dil kī udāsī chīḳh rahī hai

tūfānoñ ne saare ḳheme toḌ diye haiñ
yuuñ lagtā hai saarī ḳhudā.ī chīḳh rahī hai

raat kī chīḳhoñ se ābād huā har ḳhitta
kab se naved-e-sub.h bechārī chīḳh rahī hai

kārobār na karnā logo dekho dil hai
ik muddat se ruuh hamārī chīḳh rahī hai

har lamha dil-doz KHamoshi chiKH rahi hai
main hun jahan tanhai meri chiKH rahi hai

ghar ke sab darwaze kyun diwar hue hain
ghar se bahar duniya sari chiKH rahi hai

KHali aankhen sulag rahi hain KHushk hain aansu
andar andar dil ki udasi chiKH rahi hai

tufanon ne sare KHeme toD diye hain
yun lagta hai sari KHudai chiKH rahi hai

raat ki chiKHon se aabaad hua har KHitta
kab se nawed-e-subh bechaari chiKH rahi hai

karobar na karna logo dekho dil hai
ek muddat se ruh hamari chiKH rahi hai


Leave a comment

+