Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


kuza-e-duniya hai apne chaak se bichhDa hua


kūza-e-duniyā hai apne chaak se bichhḌā huā
aur us ke biich maiñ aflāk se bichhḌā huā

us jagah maiñ bhī bhaTaktā phir rahā huuñ aaj tak
jis jagah thā rāsta pechāk se bichhḌā huā

din guzarte jā rahe haiñ aur hujūm-e-ḳhush-gumāñ
muntazir baiThā hai aab o ḳhaak se bichhḌā huā

sub.h-dam dekhā to ḳhushkī par taḌaptā thā bahut
ek manzar dīda-e-namnāk se bichhḌā huā

is jahān-e-ḳhasta se koī tavaqqo hai abas
ye badan hai ruuh kī poshāk se bichhḌā huā

jab bhī taulā be-niyāzī kī tarāzū meñ use
vo bhī niklā zabt ke idrāk se bichhḌā huā

ik sitāra mujh se mil kar ro paḌā thā kal 'jamāl'
vo falak se aur maiñ thā ḳhaak se bichhḌā huā

kuza-e-duniya hai apne chaak se bichhDa hua
aur us ke bich main aflak se bichhDa hua

us jagah main bhi bhaTakta phir raha hun aaj tak
jis jagah tha rasta pechaak se bichhDa hua

din guzarte ja rahe hain aur hujum-e-KHush-guman
muntazir baiTha hai aab o KHak se bichhDa hua

subh-dam dekha to KHushki par taDapta tha bahut
ek manzar dida-e-namnak se bichhDa hua

is jahan-e-KHasta se koi tawaqqo hai abas
ye badan hai ruh ki poshak se bichhDa hua

jab bhi taula be-niyazi ki taraazu mein use
wo bhi nikla zabt ke idrak se bichhDa hua

ek sitara mujh se mil kar ro paDa tha kal 'jamal'
wo falak se aur main tha KHak se bichhDa hua

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Jamal Ehsani

Leave a comment

+