kab dil ke aa.ine meñ vo manzar nahīñ rahā
āñkhoñ ke sāmne jo ki pal bhar nahīñ rahā
pairoñ tale zamīn nahīñ thī to jī liye
lekin ab āsmān bhī sar par nahīñ rahā
tere ḳhayāl meñ kabhī is tarah kho ga.e
terā ḳhayāl bhī hameñ akasr nahīñ rahā
vo qaht-e-sañg hai sar-e-sāhil ki al-amāñ
paanī meñ pheñkne ko bhī patthar nahīñ rahā
āgāh kyā hue haiñ sarāboñ se ham 'jamāl'
sat.h-e-zamīñ pe koī samundar nahīñ rahā
kab dil ke aaine mein wo manzar nahin raha
aankhon ke samne jo ki pal bhar nahin raha
pairon tale zamin nahin thi to ji liye
lekin ab aasman bhi sar par nahin raha
tere KHayal mein kabhi is tarah kho gae
tera KHayal bhi hamein akasr nahin raha
wo qaht-e-sang hai sar-e-sahil ki al-aman
pani mein phenkne ko bhi patthar nahin raha
aagah kya hue hain sarabon se hum 'jamal'
sath-e-zamin pe koi samundar nahin raha
Source: Book : siip (Magzin) (Pg. 265) Author : Nasiim Durraani Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) ) Edition : 39 (Quarterly)
Leave a comment