Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


sitare hi sirf raston mein na kho rahe the


sitāre hī sirf rāstoñ meñ na kho rahe the
charāġh aur chāñd bhī gale mil ke ro rahe the

nigāh aise meñ ḳhaak pahchāntī kisī ko
ġhubār aisā thā ā.īne aks kho rahe the

kisī bayābāñ meñ dhuup rasta bhaTak ga.ī thī
kisī bhulāve meñ aa ke sab peḌ so rahe the

na rañj-e-hijrat thā aur na shauq-e-safar thā dil meñ
sab apne apne gunāh kā bojh Dho rahe the

'jamāl' us vaqt koī mujh se bichhaḌ rahā thā
zamīn aur āsmāñ jab ek ho rahe the

sitare hi sirf raston mein na kho rahe the
charagh aur chand bhi gale mil ke ro rahe the

nigah aise mein KHak pahchanti kisi ko
ghubar aisa tha aaine aks kho rahe the

kisi bayaban mein dhup rasta bhaTak gai thi
kisi bhulawe mein aa ke sab peD so rahe the

na ranj-e-hijrat tha aur na shauq-e-safar tha dil mein
sab apne apne gunah ka bojh Dho rahe the

'jamal' us waqt koi mujh se bichhaD raha tha
zamin aur aasman jab ek ho rahe the


Leave a comment

+