Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


dil ki taraf dimagh se wo aane wala hai


dil kī taraf dimāġh se vo aane vaalā hai
ye bhī makān haath se ab jaane vaalā hai

ik lahar us kī aañkh meñ hai hausla-shikan
ik rañg us ke chehre pe bahkāne vaalā hai

ye kaun aane jaane lagā us galī meñ ab
ye kaun merī dāstāñ dohrāne vaalā hai

duniyā pasand aane lagī dil ko ab bahut
samjho ki ab ye baaġh bhī murjhāne vaalā hai

jo sā.at-e-hasīñ thī vo roke nahīñ rukī
ye lamha bhī 'jamāl' guzar jaane vaalā hai

dil ki taraf dimagh se wo aane wala hai
ye bhi makan hath se ab jaane wala hai

ek lahar us ki aankh mein hai hausla-shikan
ek rang us ke chehre pe bahkane wala hai

ye kaun aane jaane laga us gali mein ab
ye kaun meri dastan dohrane wala hai

duniya pasand aane lagi dil ko ab bahut
samjho ki ab ye bagh bhi murjhane wala hai

jo saat-e-hasin thi wo roke nahin ruki
ye lamha bhi 'jamal' guzar jaane wala hai


Leave a comment

+