apne ham-rāh jalā rakkhā hai
tāq-e-dil par jo diyā rakkhā hai
jumbish-e-lab na sahī tere ḳhilāf
haath ko ham ne uThā rakkhā hai
tū mujhe chhoḌ ke jā saktā nahīñ
chhoḌ is baat meñ kyā rakkhā hai
vo milā degā hameñ bhī jis ne
aab aur gil ko milā rakkhā hai
mujh ko mālūm hai merī ḳhātir
kahīñ ik jaal bunā rakkhā hai
jāntā huuñ mire qissa-go ne
asl qisse ko chhupā rakkhā hai
āsmānoñ ne gavāhī ke liye
ik sitāre ko bachā rakkhā hai
kaam kuchh itne haiñ karne ko 'jamāl'
naam ko kal pe uThā rakkhā hai
apne ham-rah jala rakkha hai
taq-e-dil par jo diya rakkha hai
jumbish-e-lab na sahi tere KHilaf
hath ko hum ne uTha rakkha hai
tu mujhe chhoD ke ja sakta nahin
chhoD is baat mein kya rakkha hai
wo mila dega hamein bhi jis ne
aab aur gil ko mila rakkha hai
mujh ko malum hai meri KHatir
kahin ek jal buna rakkha hai
jaanta hun mere qissa-go ne
asl qisse ko chhupa rakkha hai
aasmanon ne gawahi ke liye
ek sitare ko bacha rakkha hai
kaam kuchh itne hain karne ko 'jamal'
nam ko kal pe uTha rakkha hai
Leave a comment