Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


bikhar gaya hai jo moti pirone wala tha


bikhar gayā hai jo motī pirone vaalā thā
vo ho rahā hai yahāñ jo na hone vaalā thā

aur ab ye chāhtā huuñ koī ġham baTā.e mirā
maiñ apnī miTTī kabhī aap Dhone vaalā thā

tire na aane se dil bhī nahīñ dukhā shāyad
vagarna kyā maiñ sar-e-shām sone vaalā thā

milā na thā pa bichhaḌne kā ġham na thā mujh ko
jalā nahīñ thā magar raakh hone vaalā thā

hazār tarah ke the rañj pichhle mausam meñ
par itnā thā ki koī saath rone vaalā thā

bikhar gaya hai jo moti pirone wala tha
wo ho raha hai yahan jo na hone wala tha

aur ab ye chahta hun koi gham baTae mera
main apni miTTi kabhi aap Dhone wala tha

tere na aane se dil bhi nahin dukha shayad
wagarna kya main sar-e-sham sone wala tha

mila na tha pa bichhaDne ka gham na tha mujh ko
jala nahin tha magar rakh hone wala tha

hazar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itna tha ki koi sath rone wala tha


Leave a comment

+