Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jalib Nomani

  • Ghazal


wo aankhen zahr aisa bo gai hain


vo āñkheñ zahr aisā bo ga.ī haiñ
zamīneñ zard sahrā ho ga.ī haiñ

añdhere gir rahe haiñ āsmāñ se
fazā kī vus.ateñ bhī so ga.ī haiñ

hamesha ek jā paatā huuñ ḳhud ko
hadeñ manzil kī shāyad kho ga.ī haiñ

chamak kyā ret kī zarroñ meñ hogī
jo sonā thā vo maujeñ dho ga.ī haiñ

pighalte dekh ke sūraj kī garmī
abhī ma.asūm kirneñ ro ga.ī haiñ

wo aankhen zahr aisa bo gai hain
zaminen zard sahra ho gai hain

andhere gir rahe hain aasman se
faza ki wusaten bhi so gai hain

hamesha ek ja pata hun KHud ko
haden manzil ki shayad kho gai hain

chamak kya ret ki zarron mein hogi
jo sona tha wo maujen dho gai hain

pighalte dekh ke suraj ki garmi
abhi masum kirnen ro gai hain


Source: Shab Khoon(Shumara Number-067)

Leave a comment

+