tavajjoh un kī kyā kam ho ga.ī hai
balā-e-jāñ shab-e-ġham ho ga.ī hai
ḳhirad kā nuur kyā phailā jahāñ meñ
diloñ kī raushnī kam ho ga.ī hai
rahī hogī kabhī jannat ye duniyā
magar ab to jahannam ho ga.ī hai
atom-zādoñ ye me.arāj-e-taraqqī
harīf-e-ibn-e-ādam ho ga.ī hai
shikast-e-ḳhvāb tanzīm-e-gulistāñ
dalīl-e-azm-e-mohkam ho ga.ī hai
ḳhazaf kā mol jab se baḌh gayā hai
sadaf kī aabrū kam ho ga.ī hai
kabhī vaqf-e-tarab thī zindagānī
magar ab sirf mātam ho ga.ī hai
tawajjoh un ki kya kam ho gai hai
bala-e-jaan shab-e-gham ho gai hai
KHirad ka nur kya phaila jahan mein
dilon ki raushni kam ho gai hai
rahi hogi kabhi jannat ye duniya
magar ab to jahannam ho gai hai
atom-zadon ye mearaj-e-taraqqi
harif-e-ibn-e-adam ho gai hai
shikast-e-KHwab tanzim-e-gulistan
dalil-e-azm-e-mohkam ho gai hai
KHazaf ka mol jab se baDh gaya hai
sadaf ki aabru kam ho gai hai
kabhi waqf-e-tarab thi zindagani
magar ab sirf matam ho gai hai
Source: Haft Rang(Bijnor Ke Muqami Shora ka Intikhab-e-kalam)
Leave a comment