thaknā bhī lāzmī thā kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gayā huuñ ārām karte karte
andar sab aa gayā hai bāhar kā bhī añdherā
ḳhud raat ho gayā huuñ maiñ shaam karte karte
ye umr thī hī aisī jaisī guzār dī hai
badnām hote hote badnām karte karte
phañstā nahīñ parinda hai bhī isī fazā meñ
tañg aa gayā huuñ dil ko yuuñ daam karte karte
kuchh be-ḳhabar nahīñ the jo jānte haiñ mujh ko
maiñ kuuch kar rahā thā bisrām karte karte
sar se guzar gayā hai paanī to zor kartā
sab rok rukte rukte sab thaam karte karte
kis ke tavāf meñ the aur ye din aa ga.e haiñ
kyā ḳhaak thī ki jis ko ehrām karte karte
jis moḌ se chale the pahuñche haiñ phir vahīñ par
ik rā.egāñ safar ko anjām karte karte
āḳhir 'zafar' huā huuñ manzar se ḳhud hī ġhā.eb
uslūb-e-ḳhās apnā maiñ aam karte karte
thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gaya hun aaram karte karte
andar sab aa gaya hai bahar ka bhi andhera
KHud raat ho gaya hun main sham karte karte
ye umr thi hi aisi jaisi guzar di hai
badnam hote hote badnam karte karte
phansta nahin parinda hai bhi isi faza mein
tang aa gaya hun dil ko yun dam karte karte
kuchh be-KHabar nahin the jo jaante hain mujh ko
main kuch kar raha tha bisram karte karte
sar se guzar gaya hai pani to zor karta
sab rok rukte rukte sab tham karte karte
kis ke tawaf mein the aur ye din aa gae hain
kya KHak thi ki jis ko ehram karte karte
jis moD se chale the pahunche hain phir wahin par
ek raegan safar ko anjam karte karte
aaKHir 'zafar' hua hun manzar se KHud hi ghaeb
uslub-e-KHas apna main aam karte karte
Leave a comment