bahāreñ luTā diiñ javānī luTā dī
tumhāre liye zindagānī luTā dī
sabā ne to barsā.e gul fasl-e-gul meñ
ghaTā ne mai-e-arġhavānī luTā dī
adāoñ pe kar dī fidā saarī hastī
nigāhoñ pe duniyā-e-fānī luTā dī
ajab daulat-e-husn paa.ī thī dil ne
na maanī mirī ik na maanī luTā dī
na khonā thā ġhaflat meñ ahd-e-javānī
ajab raat thī ye suhānī luTā dī
na kī husn kī qadr ai māh-e-kāmil
faqat raat bhar meñ javānī luTā dī
hasīnoñ ne rañgīni-e-ḳhvāb-e-shīrīñ
sunī jab hamārī kahānī luTā dī
ajab hausla ham ne ġhuncha kā dekhā
tabassum pe saarī javānī luTā dī
'jalīl' aap kī shā.erī par kisī ne
nigāhoñ kī jādū-bayānī luTā dī
bahaaren luTa din jawani luTa di
tumhaare liye zindagani luTa di
saba ne to barsae gul fasl-e-gul mein
ghaTa ne mai-e-arghawani luTa di
adaon pe kar di fida sari hasti
nigahon pe duniya-e-fani luTa di
ajab daulat-e-husn pai thi dil ne
na mani meri ek na mani luTa di
na khona tha ghaflat mein ahd-e-jawani
ajab raat thi ye suhani luTa di
na ki husn ki qadr ai mah-e-kaamil
faqat raat bhar mein jawani luTa di
hasinon ne rangini-e-KHwab-e-shirin
suni jab hamari kahani luTa di
ajab hausla hum ne ghuncha ka dekha
tabassum pe sari jawani luTa di
'jalil' aap ki shaeri par kisi ne
nigahon ki jadu-bayani luTa di
Source: Book : Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 356)
Leave a comment