maar Daalā muskurā kar naaz se
haañ mirī jaañ phir isī andāz se
kis ne kah dī un se merī dāstāñ
chauñk chauñk uThte haiñ ḳhvāb-e-nāz se
phir vahī vo the vahāñ kuchh bhī na thā
jis taraf dekhā nigāh-e-nāz se
dard-e-dil pahle to vo sunte na the
ab ye kahte haiñ zarā āvāz se
miT ga.e shikve jab us ne ai 'jalīl'
Daal deñ bāñheñ gale meñ naaz se
mar Dala muskura kar naz se
han meri jaan phir isi andaz se
kis ne kah di un se meri dastan
chaunk chaunk uThte hain KHwab-e-naz se
phir wahi wo the wahan kuchh bhi na tha
jis taraf dekha nigah-e-naz se
dard-e-dil pahle to wo sunte na the
ab ye kahte hain zara aawaz se
miT gae shikwe jab us ne ai 'jalil'
Dal den banhen gale mein naz se
Leave a comment