saañs liije to bikhar jaate haiñ jaise ġhunche
ab ke āvāz meñ bajte haiñ ḳhizāñ ke patte
chaḌhte sūraj pe paḌeñ saa.e ham āvāroñ ke
vo diyā ab ke hathelī pe jalā kar chaliye
shaam ko ghar se nikal kar na palaTne vaale
dar-o-dīvār se saa.e tire ruḳhsat na hue
bevafā kah ke tujhe apnā bharam kyuuñ kholeñ
ai subuk-gām hamīñ rah ga.e tujh se pīchhe
vā ho āġhosh-e-mohabbat se jo tanhā.ī meñ
aisā lagtā hai ki ham par koī suulī utre
baat karte haiñ to guuñj uThtī hai āvāz-e-shikast
aur qadam rakkheñ to galiyoñ kī zamīñ baj uTThe
sadiyoñ meñ bhī jo guzāreñ to na guzre yaaro
haa.e vo lamha ki jis meñ koī pyārā bichhḌe
'hashamī' ghar ke sutūnoñ se lipaT kar ronā
be-navā.ī ke ye andāz kahāñ the pahle
sans lije to bikhar jate hain jaise ghunche
ab ke aawaz mein bajte hain KHizan ke patte
chaDhte suraj pe paDen sae hum aawaron ke
wo diya ab ke hatheli pe jala kar chaliye
sham ko ghar se nikal kar na palaTne wale
dar-o-diwar se sae tere ruKHsat na hue
bewafa kah ke tujhe apna bharam kyun kholen
ai subuk-gam hamin rah gae tujh se pichhe
wa ho aaghosh-e-mohabbat se jo tanhai mein
aisa lagta hai ki hum par koi suli utre
baat karte hain to gunj uThti hai aawaz-e-shikast
aur qadam rakkhen to galiyon ki zamin baj uTThe
sadiyon mein bhi jo guzaren to na guzre yaro
hae wo lamha ki jis mein koi pyara bichhDe
'hashami' ghar ke sutunon se lipaT kar rona
be-nawai ke ye andaz kahan the pahle
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment