Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Hashmi

  • Ghazal


sikh liya jina maine


siikh liyā jiinā maiñ ne
itnā zahr piyā maiñ ne

shikva nahīñ kiyā maiñ ne
aañsū poñchh liyā maiñ ne

un se mil kar aayā huuñ
ḳhvāb nahīñ dekhā maiñ ne

havā ko aate jab dekhā
raushan kiyā diyā maiñ ne

pyāsā thā kartā bhī kyā
likh Daalā dariyā maiñ ne

parcham sā lahrāyā huuñ
khaa.ī tez havā maiñ ne

husn-e-chaman likhtā kaise
paḌhā na ik pattā maiñ ne

dīvāroñ kī bastī meñ
darvāza likkhā maiñ ne

paash paash huā phir bhī
sar ūñchā rakkhā maiñ ne

kisī ko kyā denā 'hashmī'
qarz hī kiye adā maiñ ne

sikh liya jina main ne
itna zahr piya main ne

shikwa nahin kiya main ne
aansu ponchh liya main ne

un se mil kar aaya hun
KHwab nahin dekha main ne

hawa ko aate jab dekha
raushan kiya diya main ne

pyasa tha karta bhi kya
likh Dala dariya main ne

parcham sa lahraya hun
khai tez hawa main ne

husn-e-chaman likhta kaise
paDha na ek patta main ne

diwaron ki basti mein
darwaza likkha main ne

pash pash hua phir bhi
sar uncha rakkha main ne

kisi ko kya dena 'hashmi'
qarz hi kiye ada main ne


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 403) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+